
5 basic grooming and hygiene tips / 5 trike grooming , swach or aakrshak dikhne k liye.
Dosto agar ap sbse alg or unique dikhna chahte h or ap chahte h ki apki personality alg hi lge to uske liye m apke saath kuch tips share krna chahungi jisse ap logo ka dhyan ap ki or khich skte h….to aaiye jante h….
- Shower Daily :- shower personal hygiene m aata h. Vaise Maine shower wala point liya hai aapko pd kr thoda Ajeeb lag raha hoga. Lkn bahut se log aise Hain Jo Daily nahin nahate Hain jisse agr ese log pass bhi khade Ho jaate Hain to unmen se smell aati Hai sweating ki. jo impression kharab karta hai or log aapke liye galat dharna banaa lete hain ki aap Safai se nahin rahte hain. Isliye daily nahana bahut jaruri hai isse apka sweat b remove ho jayega aur Dirt vagaira bhi. Or bacteria gems b dur rhnge . Skin infection hone k chances b km rhnge.
2. Skin care routine:- skin care routine karna bahut jaruri hai isase aapke chehre per alag hi glow aata hai. Agar aapki bahut jyada dry hai to skin bhut caky dikhegi jo apke look ko or khrab dikha skta h. agar aapse koi baat Karega to uski najar face per bhi jayegi. Agr ap acche se skin care routine ko follow karte Hain to aap fresh dikhenge or sundar b dikhnge.

3. Outfit:- so aapko hamesha aise kapdon ka chayan karna chahie Jo trendy bhi ho aur sath mein comfortable bhi Lage apko. kapde ek psychology impact bhi dalta hai aapke appearance per kya aap use kaise carry karte ho. To hamesha acche kapdon ka chunav Karen Jo in fashion mein ho. kapde saaf suthre Ho aur praise kare huve ho.
4. Deo/ perfume :- Ji smell bhi aapke personality per prabhav dalta hai. Agar aap kisi ke pass Se nikalte Hain aur aapse good fragrance aari h to logo k mn me ye chavi bnti h ki ap Apne aapko hygienic rakhte Hain. Or positive impression daalta h apke prti.
5. exercise : – aap rojana Thoda Sa exercise Kiya Karen jisse aapko mentally aur physically maintain rahenge aur healthy rahenge jisse ki aap happy bhi rahenge or positivity aaegi. Kyunki ek good health sab chijon Se badhkar hai. Aur agar Ham healthy rahenge to sab achcha hi hoga. Aur bimariyon se bhi dur honge. exercise karne se body active rahata hai.